kisi surat se us mahfil mein ja kar
muqaddar hum bhi dekhen aazma kar
taghaful-kesh main ne hi banaya
use haal-e-dil-e-shaida suna kar
uTha lene se to dil ke raha main
tu ab zalim wafa kar ya jafa kar
tere gulshan mein pahunche kash ek din
nasim-e-ashnai rah pa kar
KHushi un ko mubarak ho ilahi
wo KHush hain KHak mein mujh ko mila kar
dahan hai rashk se ghunche ka pur-KHun
kidhar dekha tha tum ne muskura kar
wo sharmate hain sun kar wasl ka nam
raha hun main jo chup to baat pa kar
hua wo bewafai mein musallam
nishan-e-turbat-e-ashiq miTa kar
gunah apne mujhe yaad aae 'wahshat'
KHajil sa rah gaya main hath uTha kar
Ghazal
Kisi surat se us mahfil mein ja kar
Wahshat Raza Ali Kalkatvi