kisi se koi KHafa bhi nahin raha ab to
gila karo ki gila bhi nahin raha ab to
wo kahishen hain ki aish-e-junun to kya yani
ghurur-e-zehn-e-rasa bhi nahin raha ab to
shikast-e-zat ka iqrar aur kya hoga
ki idda-e-wafa bhi nahin raha ab to
chune hue hain labon par tere hazar jawab
shikayaton ka maza bhi nahin raha ab to
hun mubtala-e-yaqin meri mushkilen mat puchh
guman-e-uqda-kusha bhi nahin raha ab to
mere wajud ka ab kya sawal hai yani
main apne haq mein bura bhi nahin raha ab to
yahi atiyya-e-subh-e-shab-e-visal hai kya
ki sehr-e-naz-o-zada bhi nahin raha ab to
yaqin kar jo teri aarzu mein tha pahle
wo lutf tere siwa bhi nahin raha ab to
wo sukh wahan ki KHuda ki hain baKHshishen kya kya
yahan ye dukh ki KHuda bhi nahin raha ab to
Ghazal
Kisi se koi KHafa bhi nahin raha ab to
Jaun Eliya