kisi se KHush hai kisi se KHafa KHafa sa hai
wo shahr mein abhi shayad naya naya sa hai
na jaane kitne badan wo pahan ke leTa hai
bahut qarib hai phir bhi chhupa chhupa sa hai
sulagta shahr nadi KHun kab ki baaten hain
kahin kahin se ye qissa suna suna sa hai
saron ke sing to jangal ki den hote hain
wo aadmi to hai lekin Dara Dara sa hai
kuchh aur dhup to ho os sukh jaane tak
wo peD ab ke baras bhi hara hara sa hai
Ghazal
Kisi se KHush hai kisi se KHafa KHafa sa hai
Nida Fazli