kisi ne kaise nibhai hai aasman se na puchh
na puchh tair-e-gum-karda-ashiyan se na puchh
sahar baja-e-KHud ek dastan na ho jae
hikayat-e-shab-e-rafta meri azan se na puchh
tere jamal ko mahshar samajh rahe hain log
umaD ke aai hai KHilqat kahan kahan se na puchh
jawab aur to mil jaenge sabhi lekin
mera qusur hi arbab-e-do-jahan se na puchh
laga nuqush-e-qadam ka suragh aap zara
ye bagh kis ne ujaDa hai baghban se na puchh
jo KHush-bayan hain suna denge yun bhi sab ahwal
jo be-zaban ka fasana hai be-zaban se na puchh
agarche ishq hai pure wajud ka dushman
magar jo dil pe guzarti hai nim-jaan se na puchh
har ek nigah pe khulta nahin wo dar 'rahil'
udhar ka rasta salar-e-karwan se na puchh

Ghazal
Kisi ne kaise nibhai hai aasman se na puchh
Raheel Farooq