kisi nadida shai ki chah mein aksar badalte hain
kabhi aankhen kabhi chehra kabhi manzar badalte hain
kisi mahfuz goshe ki talab majbur karti hai
makin badle nahin jate hain so hum ghar badalte hain
miyan bazar ko sharminda karna kya zaruri hai
kahin is daur mein tahzib ke zewar badalte hain
ye an-jaane parinde kaun se jangal se aae hain
jo har parwaz se pahle nae shahpar badalte hain
isi se surat-e-haalat ki taswir banti hai
usi ke Dar se hum log apna apna dar badalte hain
sitara sa meri aaghosh mein kuchh to chamakta hai
jhalak pane ki jis ko aaine mehwar badalte hain
Ghazal
Kisi nadida shai ki chah mein aksar badalte hain
Shoaib Nizam