اردو हिंदी
Kisi miskin ka ghar khulta hai | Shaahi Shayari
kisi miskin ka ghar khulta hai

Ghazal

Kisi miskin ka ghar khulta hai

Tabish Dehlvi

;

kisi miskin ka ghar khulta hai
ya koi zaKHm-e-nazar khulta hai

dekhna hai ki tilism-e-hasti
kis se khulta hai agar khulta hai

daw par dair-o-haram donon hain
dekhiye kaun sa ghar khulta hai

phul dekha hai ki dekha hai chaman
husn se husn-e-nazar khulta hai

mai-kashon ka ye tulua aur ghurub
mai-kada sham-o-sahar khulta hai

chhoTi paDti hai ana ki chadar
panw Dhakta hun to sar khulta hai

band kar leta hun aankhen 'tabish'
bab-e-nazzara magar khulta hai