kisi ko kya KHabar ai subh waqt-e-sham kya hoga
KHuda jaane tere aaghaz ka anjam kya hoga
giraftaran-e-gesu par nahin kuchh munhasir naseh
phansa hai jo talluq mein use aaram kya hoga
abas hai zahidon ko mai-kashi mein uzr-e-nadari
guru rakh len usi ko jama-e-ehram kya hoga
wahi rah rah ke ghabrana wahi na-kar-gar aahen
siwa is baat ke tujh se dil-e-nakaam kya hoga
use bhi jald uTha kar taq-e-nisyan ke hawale kar
nahin pesh-e-nazar jab KHatm to saqi jam kya hoga
yahi TuTe subu miTTi ke kafi hain qanaat kar
bilorin jam-e-mai ai rind dard-asham kya hoga
taqarrub jin ko hai un ko bhi yak-guna hai mayusi
ye haalat hai to phir didar tera aam kya hoga
na puchho muftiyan-e-shara ka ahwal jaane do
tanaffur kufr ko jis se ho wo islam kya hoga
sahar furqat ki hai aur ghash pe ghash aate hain aashiq ko
abhi se jab ye haalat ho gai ta-sham kya hoga
zaifi mein tu 'shad' allahu-akbar pi gaya KHum tak
jawani mein kaho ye rind mai-asham kya hoga
zamana 'shad' begari mein kyun aaKHir phansata hai
apahij kar diya piri ne mujh se kaam kya hoga
Ghazal
Kisi ko kya KHabar ai subh waqt-e-sham kya hoga
Shad Azimabadi