اردو हिंदी
Kisi ko kuchh nahin milta hai aarzu ke baghair | Shaahi Shayari
kisi ko kuchh nahin milta hai aarzu ke baghair

Ghazal

Kisi ko kuchh nahin milta hai aarzu ke baghair

Sayed Zia Alvi

;

kisi ko kuchh nahin milta hai aarzu ke baghair
magar ye kaun mila mujh ko justuju ke baghair

ajib tarz-e-mulaqat tha sar-e-mahfil
payam sare mile mujh ko guftugu ke baghair

mere jigar ka lahu hai wafaon ka zamin
hina bhi us ki adhuri hai is lahu ke baghair

KHumar o kaif mein aankhen hain mai-kade jaisi
nashe mein chur hun main bhi kisi subu ke baghair

hawa ne KHar se mil kar KHarashen Dalin par
qaba-e-gul to mahakti rahi rafu ke baghair

hamare zikr pe hangama ho gaya akasr
liya hai nam kahan us ne haw-hu ke baghair

faza udas hai is waste 'ziya'-sahib
bahaar kaise chale mere mah-ru ke baghair