kisi ko kab wo apne dil ka kuchh ahwal deta hai
main us se baat karta hun wo mujh ko Tal deta hai
koi to hai jo is hairat-sara-e-nur-o-zulmat mein
sitare ko ziya aaine ko timsal deta hai
bahut inkar karta hai sawal-e-wasl par lekin
KHafa ho jaun to gardan mein banhen Dal deta hai
koi chehron ka saudagar chhupa hai is KHarabe mein
purani suraten le kar nai ashkal deta hai
main jis lamhe guzarte waqt ko mahsus karta hun
wo ek lamha 'farasat' ranj-e-mah-o-sal deta hai
Ghazal
Kisi ko kab wo apne dil ka kuchh ahwal deta hai
Farasat Rizwi

