kisi ko jab nigahon ke muqabil dekh leta hun
to pahle sar jhuka ke haalat-e-dil dekh leta hun
maal-e-justuju-e-zauq-e-kaamil dekh leta hun
uThate hi qadam aasar-e-manzil dekh leta hun
main tujh se aur lutf-e-KHas ka talib maaz-allah
sitam-gar is bahane se tera dil dekh leta hun
jo maujen KHas kar chashm-o-charagh-e-dam-e-tufan hain
main un maujon ko ham-aghosh-e-sahil dekh leta hun
'shakil' ehsas hai mujh ko har ek mauzun tabiat ka
ghazal paDhne se pahle rang-e-mahfil dekh leta hun
Ghazal
Kisi ko jab nigahon ke muqabil dekh leta hun
Shakeel Badayuni