اردو हिंदी
Kisi ko dekh kar be-KHud dil-e-kaam ho jaana | Shaahi Shayari
kisi ko dekh kar be-KHud dil-e-kaam ho jaana

Ghazal

Kisi ko dekh kar be-KHud dil-e-kaam ho jaana

Hafeez Jaunpuri

;

kisi ko dekh kar be-KHud dil-e-kaam ho jaana
usi ko log kahte hain KHayal-e-KHam ho jaana

mohabbat se jo pesh aae koi ho dost ya dushman
hamein to har kisi ka banda-e-be-dam ho jaana

KHuda jaane ki kya hota maal apni mohabbat ka
bahut achchha hua aaghaz mein anjam ho jaana

miTana ho agar dhabba riya-kari ka ai zahid
kisi ki bazm mein ek din sharik-e-jam ho jaana

jahan dekho wahan kuchh zikr hai apni mohabbat ka
bura hai aadmi ke waste badnam ho jaana

karega raKHna paida koi din darban ka hangama
qayamat hai tere dar par hujum-e-am ho jaana

'hafiz' aise musalman ka bhi koi din-o-mazhab hai
buton ki dosti mein tarik-e-islam ho jaana