kisi ki yaad mein shamen jalana bhul jata hai
koi kitna hi pyara ho zamana bhul jata hai
kisi din be-niyazi us ki mujh ko mar Dalegi
KHafa karta hai wo lekin manana bhul jata hai
ruKH-e-raushan pe zulfon ka ye girna jaan-lewa hai
aur us par ye sitam dilbar haTana bhul jata hai
agar hai bhulna mujh ko kisi se pyar kar lena
naya banta hai jab rishta purana bhul jata hai
isi bais main sine se use uDne nahin deta
ye dil aisa parinda hai Thikana bhul jata hai
hamein hai wasl ki KHwahish magar ye kaam duniya ke
main jaana bhul jata hun wo aana bhul jata hai
kisi se kya karun shikwa mile hain zaKHm hi aise
ki jin par waqt bhi marham lagana bhul jata hai
koi aaseb hai shayad tumhaare shahr mein 'sani'
yahan pe rahne wala muskurana bhul jata hai

Ghazal
Kisi ki yaad mein shaMein jalana bhul jata hai
Suhail Sani