kisi ki baat koi bad-guman na samjhega
zamin ka dard kabhi aasman na samjhega
samundaron pe jo chalta raha hai be-maqsad
kahan hain panw ke naqsh-o-nishan na samjhega
use junun hai lafzon se khelne ka bahut
hamari sada si lekin zaban na samjhega
ye sab hain ahl-e-siyasat inhi ki sazish hai
yahi hai sach jise sara jahan na samjhega
jo meri zahiri surat se kha raha hai fareb
yaqin jaaniye dard-e-nihan na samjhega
mata-e-lauh-o-qalam luTta raha hai jo
lahu-luhan hain kyun ungliyan na samjhega
kamal-e-zabt ke ba-wasf koi bhi 'azam'
ye kaise phaT gaya aatish-fishan na samjhega
Ghazal
Kisi ki baat koi bad-guman na samjhega
Imam Azam