kisi ki aankh se sapne chura kar kuchh nahin milta
munDeron se charaghon ko bujha kar kuchh nahin milta
hamari soch ki parwaz ko roke nahin koi
nae aflak pe pahre biTha kar kuchh nahin milta
koi ek aadh sapna ho to phir achchha bhi lagta hai
hazaron KHwab aankhon mein saja kar kuchh nahin milta
sukun un ko nahin milta kabhi pardes ja kar bhi
jinhen apne watan se dil laga kar kuchh nahin milta
use kahna ki palkon par na Tanke KHwab ki jhaalar
samundar ke kinare ghar bana kar kuchh nahin milta
ye achchha hai ki aapas ke bharam na TuTne paen
kabhi bhi doston ko aazma kar kuchh nahin milta
na jaane kaun se jazbe ki yun taskin karta hun
ba-zahir to tumhaare KHat jala kar kuchh nahin milta
faqat tum se hi karta hun main sari raaz ki baaten
har ek ko dastan-e-dil suna kar kuchh nahin milta
amal ki sukhti rag mein zara sa KHun shamil kar
mere hamdam faqat baaten bana kar kuchh nahin milta
ise mein pyar karta hun to mujh ko chain aata hai
wo kahta hai use mujh ko sata kar kuchh nahin milta
mujhe aksar sitaron se yahi aawaz aati hai
kisi ke hijr mein ninden ganwa kar kuchh nahin milta
jigar ho jaega chhalni ye aankhen KHun roengi
'wasi' be-faiz logon se nibha kar kuchh nahin milta

Ghazal
Kisi ki aankh se sapne chura kar kuchh nahin milta
Wasi Shah