kisi ke shikwa-ha-e-jaur se waqif zaban kyun ho
gham-e-dil aag to lag hi chuki lekin dhuan kyun ho
mohabbat mein visal-o-hijr ki tamiz kya mani
bisat-e-ishq par bazicha-e-sud-o-ziyan kyun ho
jabin sail thi nadim hai magar ai sajda-e-aKHir
meri mahrumiyon se be-talluq aastan kyun ho
KHudawanda chaman mein to nasheman hi nasheman hain
nazar mein barq ki sirf ek shaKH-e-ashiyan kyun ho
riwayat-e-kuhan ko azm-e-nau KHatir mein kya lae
zamir-e-karwan paband-e-mir-e-karwan kyun ho
ye mana ek aansu hai magar ai sai-e-zabt-e-gham
sar-e-mizhgan ye ek aansu bhi dil ka tarjuman kyun ho
zamana jab bhula hi baiTha 'ejaz'-e-hazin tujh ko
koi ab mehrban kyun ho koi na-mehrban kyun ho
Ghazal
Kisi ke shikwa-ha-e-jaur se waqif zaban kyun ho
Ejaz Warsi