kisi ke sang-e-dar se apni mayyat le ke uTThenge
yahi patthar pae tawiz-e-turbat le ke uTThenge
gae wo din ki hum girte the aur himmat uThati thi
wo din aaya ki ab hum apni himmat le ke uTThenge
agar dil hai to tera dard-e-ulfat sath jaega
kaleja hai to tera dagh-e-hasrat le ke uTThenge
ye paida hote hi rona sarihan bad-shuguni hai
musibat mein rahenge aur musibat le ke uTThenge
KHat-e-qismat miTate ho magar itna samajh lena
ye harf-e-arzu hathon ki rangat le ke uTThenge
mujhe apni gali mein dekh kar wo naz se bole
mohabbat se dabe jate hain hasrat le ke uTThenge
tere kuche mein kyun baiThe faqat is waste baiThe
ki jab uTThenge is duniya se jannat le ke uTThenge
tera raaz-e-mohabbat le ke aae le ke jaenge
amanat le ke baiThe hain amanat le ke uTThenge
hamein is nam japne ka maza us roz aaega
tumhaara nam jis din zer-e-turbat le ke uTThenge
dam-e-aKHir hum aanchal un ka 'muztar' kis tarah chhoDen
yahi to hai kafan jis ki badaulat le ke uTThenge
Ghazal
Kisi ke sang-e-dar se apni mayyat le ke uTThenge
Muztar Khairabadi