kisi ke sath na hone ke dukh bhi jhele hain
kisi ke sath magar aur bhi akele hain
ab is ke baad na jaane nasib mein kya hai
na sath aao hamare bahut jhamele hain
kahan hai yaad mila koi kab to kab bichhDa
hum apne dhyan se utre hue se mele hain
kaho na mujh se ki chalte hain ab milenge phir
ye khel wo hain ki sadiyon se log khele hain
jo ghar mein jaun to aawaz tak nahin koi
gali mein aaun to har su sada ke rele hain
jo log bhul-bhulayyan hain 'talKH' ab apni
nahin wo sirf akele bahut akele hain
Ghazal
Kisi ke sath na hone ke dukh bhi jhele hain
Manmohan Talkh