kisi ke sath ab saya nahin hai
koi bhi aadmi pura nahin hai
mere andar jo andesha nahin hai
to kya mera koi apna nahin hai
koi patta kahin parda nahin hai
to kya ab dasht mein dariya nahin hai
to kya ab kuchh bhi dar-parda nahin hai
ye jangal hai to kyun KHatra nahin hai
kahan jati hain barish ki duaen
shajar par ek bhi patta nahin hai
daraKHton par sabhi phal hain salamat
parinda kyun koi Thahra nahin hai
khula hai phul har gamle mein lekin
koi chehra tar-o-taza nahin hai
dhuan hi hai faqat gaDi ke pichhe
yahan kya ek bhi bachcha nahin hai
samajhna hai to diwaron se samjho
hamare shahr mein kya kya nahin hai
Ghazal
Kisi ke sath ab saya nahin hai
Sheen Kaaf Nizam