اردو हिंदी
Kisi ke narm taKHatub pe yun laga mujhko | Shaahi Shayari
kisi ke narm taKHatub pe yun laga mujhko

Ghazal

Kisi ke narm taKHatub pe yun laga mujhko

Ghazanfar

;

kisi ke narm taKHatub pe yun laga mujh ko
ki jaise sare masail ka hal mila mujh ko

kisi maqam pe wo bhi bichhaD gai mujh se
nigah-e-shauq jo deti thi hausla mujh ko

ki ham-safar ko samajhne laga KHizar apna
zaruraton ne kuchh aisa safar diya mujh ko

tamam log hi dushman dikhai dete hain
koi batae ki aaKHir ye kya hua mujh ko

main teri car ka ukhDa hua koi purza
sukun talab hai to meri jagah pe la mujh ko

mera wajud bhi qaqnus se kam nahin hai miyan
yaqin na aae to puri tarah jala mujh ko

main aisa narm tabiat kabhi na tha pahle
zarur lams koi us ka chhu gaya mujh ko

main chah kar bhi tujhe qatl kar na paunga
ye kis ka de diya tu ne bhi wasta mujh ko