kisi ke nam pe nanhe diye jalate hue
KHuda ko bhul gae nekiyan kamate hue
wagarna baat hamari samajh se bahar thi
ye ishq ho gaya bas ruThte manate hue
hamari wapsi aasan nahin yaqin mano
yahan tak aae hain hum kashtiyan jalate hue
unhen aziz hai jina jo ji rahe hain yahan
mazaq ban ke KHud apna mazaq uDate hue
bhaDas dil ki nikali gai kuchh aise bhi
duaen mangi gain chiKHte chillate hue
main ghir gaya hun yahan par bahut se apnon mein
tere liye sabhi kuchh daw par lagate hue
Ghazal
Kisi ke nam pe nanhe diye jalate hue
Azlan shah