kisi ke ishq ka ye mustaqil aazar kya kahna
mubarak ho dil-mahzun tera isar kya kahna
na karte iltija didar ki musa to kya karte
chala aata hai kab se wada-e-didar kya kahna
wahi karta hun jo kuchh likh chuke mere muqaddar mein
magar phir bhi hun apne fel ka muKHtar kya kahna
qadam uThte hi dil par ek qayamat bit jati hai
dam-e-gulgasht us ki shoKHi-e-raftar kya kahna
shab-e-hijran pe meri rashk aata hai sitaron ko
bharam tujh se hai mera dida-e-bedar kya kahna
tere naghmon se 'wasif' ahl-e-dil masrur hote hain
ba-in afsurdagi rangini-e-guftar kya kahna

Ghazal
Kisi ke ishq ka ye mustaqil aazar kya kahna
Wasif Dehlvi