kisi ke hath par tahrir hona
mera bhi sahab-e-taqdir hona
faqat ek KHwab ho kar rah gaya hai
adhure KHwab ki tabir hona
nikalna ruh ki gahrai se aur
dua ka hamil-e-tasir hona
ye hona to hai lekin kab ye hoga
qaba-e-zar ka lir-o-lir hona
hisar-e-zabt se bahar tha wo ashk
jise tha dard ki tafsir hona
'shafiq' aaKHir hai is para-sifat ko
kisi ke samne taswir hona
Ghazal
Kisi ke hath par tahrir hona
Shafiq Saleemi

