kisi ka naqsh andhere mein jab ubhar aaya
udas chehra shab-e-dard ka nikhar aaya
khule kiwaDon ke pichhe chhupa tha sannaTa
safar se haara musafir jab apne ghar aaya
jawaz DhunDe wo apne shikasta-KHwabon ka
main us ki aankhon se aise sawal kar aaya
wo aks aks KHayalon ka aaina nikla
mujhe wo shaKHs ujale mein jab nazar aaya
ukhaDti sanson mein kya tha bataun kya 'fikri'
yahi samajh lo ki qissa tamam kar aaya
Ghazal
Kisi ka naqsh andhere mein jab ubhar aaya
Parkash Fikri