kisi ka aks-e-badan tha na wo sharara tha
to main ne KHema-e-shab se kise pukara tha
kahan kisi ko thi fursat fuzul baaton ki
tamam raat wahan zikr bas tumhaara tha
makan mein kya koi wahshi hawa dar aai thi
tamam pairahan-e-KHwab para para tha
usi ko bar-e-digar dekhna nahin tha mujhe
main lauT aaya ki manzar wahi dobara tha
subuk-sari ne girani ajib ki dil par
hai ab ye bojh ki wo bojh kyun utara tha
shab-e-siyah safar ye bhi raegan to nahin
wo kya hua jo mere sath ek sitara tha
Ghazal
Kisi ka aks-e-badan tha na wo sharara tha
Ahmad Mahfuz