kisi jhuTi wafa se dil ko bahlana nahin aata
mujhe ghar kaghazi phulon se mahkana nahin aata
main jo kuchh hun wahi kuchh hun jo zahir hai wo baatin hai
mujhe jhuTe dar-o-diwar chamkana nahin aata
main dariya hun magar bahta hun main kohsar ki jaanib
mujhe duniya ki pasti mein utar jaana nahin aata
zar-o-mal-o-jawahir le bhi aur Thukra bhi sakta hun
koi dil pesh karta ho to Thukrana nahin aata
parinda jaanib-e-dana hamesha uD ke aata hai
parinde ki taraf uD kar kabhi dana nahin aata
agar sahra mein hain to aap KHud aae hain sahra mein
kisi ke ghar to chal kar koi virana nahin aata
hua hai jo sada us ko nasibon ka likha samjha
'adim' apne kiye par mujh ko pachhtana nahin aata
Ghazal
Kisi jhuTi wafa se dil ko bahlana nahin aata
Adeem Hashmi