kisi but ki ada ne mar Dala
bahane se KHuda ne mar Dala
jafa ki jaan ko sab ro rahe hain
mujhe un ki wafa ne mar Dala
judai mein na aana tha na aai
mujhe zalim qaza ne mar Dala
musibat aur lambi zindagani
buzurgon ki dua ne mar Dala
unhin aankhon se jina chahta hun
jin aankhon ki haya ne mar Dala
hamara imtihan aur ku-e-dushman
kisi ne be-Thikane mar Dala
paDa hun is tarah us dar pe 'muztar'
koi dekhe to jaane mar Dala
Ghazal
Kisi but ki ada ne mar Dala
Muztar Khairabadi