kisi bhi zahar se mujh ko nahin koi parhez
magar hai shart bas itni ki ho na shahd-amez
wo Dar gaya jo nazar aai faKHta us ko
wo jis ke hath hamesha se hi rahe KHun-rez
main KHud samajh na saka aaj tak ye apna tilism
ki mujh mein hai kabhi farhad aur kabhi parwez
nami pasinon ki milti rahi hai us ko aur
azal se baqi hai ab tak jo KHak hai zarKHez
ye tishnagi thi meri jis ne sar-nigun na kiya
the be-shumar wahan jam aur sab labrez
ki ek rose mein kah li hai main ne ek ghazal
us ek shaKHs ki qurbat hai kya ghazal-angez

Ghazal
Kisi bhi zahar se mujhko nahin koi parhez
Qamruddin