اردو हिंदी
Kisi bhi shai pe aa jaane mein kitni der lagti hai | Shaahi Shayari
kisi bhi shai pe aa jaane mein kitni der lagti hai

Ghazal

Kisi bhi shai pe aa jaane mein kitni der lagti hai

Manish Shukla

;

kisi bhi shai pe aa jaane mein kitni der lagti hai
magar phir dil ko suljhane mein kitni der lagti hai

zara sa waqt lagta hai kahin se uTh ke jaane mein
magar phir lauT kar aane mein kitni der lagti hai

bala ka rup ye tewar sarapa dhaar hire ki
kisi ke jaan se jaane mein kitni der lagti hai

faqat aankhon ki jumbish se bayan hota hai afsana
kisi ko haal batlane mein kitni der lagti hai

sabhi se ub kar yun to chale aae ho KHalwat mein
magar KHud se bhi uktane mein kitni der lagti hai

shuur-e-mai-kada is ki ijazat hi nahin deta
wagarna jam chhalkane mein kitni der lagti hai

ye shishe ka badan le kar nikal to aae ho lekin
kisi patthar se Takrane mein kitni der lagti hai