اردو हिंदी
Kisi bahane sahi dil lahu to hona hai | Shaahi Shayari
kisi bahane sahi dil lahu to hona hai

Ghazal

Kisi bahane sahi dil lahu to hona hai

Manzoor Hashmi

;

kisi bahane sahi dil lahu to hona hai
is imtihan mein magar surKH-ru to hona hai

hamare pas bashaarat hai sabz mausam ki
yaqin ki fasl lagaen numu to hona hai

main us ke bare mein itna ziyaada sochta hun
ki ek roz use ru-ba-ru to hona hai

lahuluhan rahen hum ki shad kaam rahen
sharik qafila-e-rang-o-bu to hona hai

koi kahani koi raushni koi surat
tulu mere ufuq se kabhu to hona hai