kise KHabar ki hai kya kya ye jaan thame hue
zamin thame hue aasman thame hue
fazaen kuchh bhi nahin hain faqat nazar ka fareb
khaDa hua hai koi aasman thame hue
safina mauja-e-sail-e-bala se garm-e-satiz
hawa ka bar-e-giran baadban thame hue
gira hai koi jari ai fasil-e-shahr-e-tabah
muzahimat ka darida-nishan thame hue
saDak ke par chala ja raha hai bachta hua
kisi ka hath koi mehrban thame hue
ajab tilism sa manzar hai bhigti hui sham
koi pari hai dhanak ki kaman thame hue
Ghazal
Kise KHabar ki hai kya kya ye jaan thame hue
Ahmad Azeem