اردو हिंदी
Kise KHabar ibtida ki anjam kaun jaane | Shaahi Shayari
kise KHabar ibtida ki anjam kaun jaane

Ghazal

Kise KHabar ibtida ki anjam kaun jaane

Jaleel u0027Aaliu0027

;

kise KHabar ibtida ki anjam kaun jaane
guman baatil KHayal sab KHam kaun jaane

tamam lafzon ka ek mafhum kaun samjhe
tamam chizon ka ek hi nam kaun jaane

pujariyon ke liye azal se taDap rahe hain
samay ke pahlu mein kitne asnam kaun jaane

nikal ke din ki tamazaton se wafa ka suraj
hua hai KHun kis tarah sar-e-sham kaun jaane

udas jazbon ke daldali raston pe 'aali'
sambhal gaya chal ke gam-do-gam kaun jaane