kise jaana kahan hai munhasir hota hai is par bhi
bhaTakta hai koi bahar to koi ghar ke bhitar bhi
kisi ko aas baadal se koi dariyaon ka talib
agar hai tishna-lab sahra to pyasa hai samundar bhi
shikasta KHwab ki kirchen paDi hain aankh mein shayad
nazar mein chubhta hai jab tab adhura sa wo manzar bhi
suragh is se hi lag jae mere hone na hone ka
guzar kar dekh hi leta hun apne mein se ho kar bhi
jise parchhain samjhe the haqiqat mein na paikar ho
parakhna chahiye tha aap ko us shai ko chhu kar bhi
palaT kar muddaton baad apni tahriron se guzrun to
lage aksar ki ho sakta tha is se aur behtar bhi
Ghazal
Kise jaana kahan hai munhasir hota hai is par bhi
Akhilesh Tiwari