kise bataun ki gham kya hai sarKHushi kya hai
abhi zamane ka mear-e-agahi kya hai
qadam qadam pe main sambhla hun Thokaren kha kar
ye Thokaron ne bataya ghalat-rawi kya hai
zamin pe lala-o-gul aasman pe mah o nujum
nigah-e-hsun-e-nigah ke liye kami kya hai
kamand Dal raha hai jo chand taron par
KHuda hi jaane ki taqdir-e-admi kya hai
nafs ki aamad-o-shud par bhi iKHtiyar nahin
ye zindagi hai to maqsud-e-zindagi kya hai
wafa-paraston se kyun zid hai us pe sab chup hain
sawal ye hai ki is ka jawab hi kya hai
'uruj' tirgi-e-shab ka ehtiram karo
isi se tum ne ye jaana ki tirgi kya hai
Ghazal
Kise bataun ki gham kya hai sarKHushi kya hai
Urooj Zaidi Badayuni