kis wahm mein asir tere mubtala hue
kab ahl-e-shauq dam-e-wafa se riha hue
aazad ho ke aur bhi be-dast-o-pa hue
kis dard-e-la-ilaj mein hum mubtala hue
manDla rahe the jin ke saron par kulagh o bum
wo faizyab-e-saya-e-baal-e-huma hue
dil-dadgan-e-baadiya-e-sarsar-o-sumum
shahzadgan-e-mulk-e-nasim-o-saba hue
karte na the jo sahil o dariya mein imtiyaz
kashti bhanwar mein aai to wo naKHuda hue
rasta dikha saka na jinhen nur-e-aftab
jalne lage charag to wo rahnuma hue
pa-mardi-e-yaqin se jo mahrum hain wo log
apne rafiq-e-rah hue bhi to kya hue
kis shan se gae hain shahidan-e-ku-e-yar
qatil bhi hath uTha ke sharik-e-dua hue
yaksani-e-hayat se ghabra gaya hai dil
muddat guzar gai koi tufan bapa hue
koshish thi farz hum ne bhi ki lekin is ke baad
apne tamam kaam supurd-e-KHuda hue
Ghazal
Kis wahm mein asir tere mubtala hue
Hameed Jalandhari