اردو हिंदी
Kis tawaqqoa pe sharik-e-gham-e-yaran honge | Shaahi Shayari
kis tawaqqoa pe sharik-e-gham-e-yaran honge

Ghazal

Kis tawaqqoa pe sharik-e-gham-e-yaran honge

Nazar Hyderabadi

;

kis tawaqqoa pe sharik-e-gham-e-yaran honge
yaad hum kis ko bhala ai dil-e-nadan honge

raunaq-e-bazm bahut ab bhi suKHan-dan honge
un mein kya hum se bhi kuchh soKHta-saman honge

hum pe jo bit gae bit gai bit gai
kya kahin aap sunenge to pasheman honge

yaad ek gham hai ki fariyaad fusun hai ki junun
dard ke rishte hain mushkil se numayan honge

tham gae ashk ki aankhon mein chamak lauT aae
ye diye sham Dhalegi to farozan honge

yas ki raat mein har aas ne dam toD diya
jaane kab subh ke aasar numayan honge

tu salamat ki teri bazm mein ai arz-e-watan
zindagi hai to kabhi hum bhi ghazal-KHwan honge

han kabhi to nazar aaenge 'nazar' wo galiyan
jin mein KHurshid kai ab bhi KHiraman honge