kis taraf se aa rahi hain dard ki purwaiyan
aag si dene lagi hain bhigti angnaiyan
main kahan tha jab farishton ne KHushi insan ko di
kyun mere hisse mein aaen sirf ashk-araiyan
ye shabab-o-husn tera aur ye naz-o-ada
TuTti hain donon hathon se teri angDaiyan
main kahan ja kar chhupun ai gardish-e-dauran bata
DhunD leti hain mujhe har-ja meri ruswaiyan
ek shikasta saz hai aur ek sada-e-dard-e-dil
hum hain tum ho bekasi hai gham hai aur tanhaiyan
mujh ko chaara do dawa mat de main ji kar kya karun
ye dua kar mujh ko Das len maut ki parchhaiyan
hum ne kya socha tha aur 'simab' ye kya ho gaya
bajte bajte ruk gain kyun sab ki sab shahnaiyan
Ghazal
Kis taraf se aa rahi hain dard ki purwaiyan
Seemab Sultanpuri