kis se izhaar-e-muddaa kije
aap milte nahin hain kya kije
ho na paya ye faisla ab tak
aap kije to kya kiya kije
aap the jis ke chaara-gar wo jawan
saKHt bimar hai dua kije
ek hi fan to hum ne sikha hai
jis se miliye use KHafa kije
hai taqaza meri tabiat ka
har kisi ko charagh-pa kije
hai to bare ye aalam-e-asbab
be-sabab chiKHne laga kije
aaj hum kya gila karen us se
gila-e-tangi-e-qaba kije
nutq haiwan par garan hai abhi
guftugu kam se kam kiya kije
hazrat-e-zulf-e-ghaaliya-afshan
nam apna saba saba kije
zindagi ka ajab moamla hai
ek lamhe mein faisla kije
mujh ko aadat hai ruTh jaane ki
aap mujh ko mana liya kije
milte rahiye isi tapak ke sath
bewafai ki intiha kije
kohkan ko hai KHud-kushi KHwahish
shah-bano se iltija kije
mujh se kahti thin wo sharab aankhen
aap wo zahar mat piya kije
rang har rang mein hai dad-talab
KHun thukun to wah-wa kije
Ghazal
Kis se izhaar-e-muddaa kije
Jaun Eliya