kis se hun dad-KHwah koi dadras nahin
wo kushtani hun main ki kisi ko taras nahin
zahid kisi visal-e-sanam ki hawas nahin
patthar ka but hai tu ki tujhe hiss-o-mas nahin
wo na-tawan hun ki mere dil ko hai yaqin
aandhi ki jhonke chalte hain baad-e-nafas nahin
jab tak ki tum na aaoge ragDunga eDiyan
main bhi hun saKHt-jaan jo tum ko taras nahin
zabt-e-fughan se uzw-e-badan ghul chale tamam
main karwan-e-reg-e-rawan hun jaras nahin
duniya ki neamaton se ye seri hai ruh ko
bosa bhi yar de to kahun main hawas nahin
kuchh to hamari rone mein taKHfif ho gai
barish jo agle sal thi ab ki baras nahin
parwana-o-charagh par aata hai mujh ko rashk
kis tarah tum se uD ke lipaT jaun bas nahin
ai shahsawar us ka chamakna dalil hai
aahu-e-KHawari hai ye tera faras nahin
hum mai-kashon ki bazm mein hai be-takallufi
kuchh dana-ha-e-subha-sifat pesh-o-pas nahin
betabiyan yahi hain to ek din najat hai
sayyaad ya to main hi nahin ya qafas nahin
apne liye hai marg gulon ki mafariqat
hai gumbad-e-mazar hamara qafas nahin
ai 'bahr' is maqam par aTka hai ja ke dil
pa-e-KHayal ki bhi jahan dastaras nahin

Ghazal
Kis se hun dad-KHwah koi dadras nahin
Imdad Ali Bahr