kis quwwat-e-be-dard ka izhaar hai duniya
har dil ko gila hai ki dil-azar hai duniya
log is ko kaha karte hain achchha bhi bura bhi
kya KHub ki donon ki saza-war hai duniya
milta hi nahin koi dil-e-zar ka pursan
mere liye ek mahfil-e-aghyar hai duniya
har sang mein duniya ko nazar aata hai ek but
aur aise har ek but ki parastar hai duniya
ye hashr ye hangama nahin aaj pe mauquf
sach ye hai ki sadiyon hi se bimar hai duniya
neki koi karta ho to karwaT nahin leti
niyyat ho gunahon ki to bedar hai duniya
kis tarah karen us ki mohabbat pe bharosa
ai dost qayamat ki adakar hai duniya
is tarah bhi duniya ka gila karte hain goya
masum hai insan gunahgar hai duniya
duniya mein bura waqt to aata hai sabhi par
ab KHud hi bure waqt se do-chaar hai duniya
rah rah ke barasti hain adawat ki ghaTaen
lagta hai ki girti hui diwar hai duniya
kya kahiye use kuchh bhi samajh mein nahin aata
ek wadi-e-pur-KHar ki gulzar hai duniya
jannat bhi usi mein hai jahannam bhi usi mein
gahwara-e-har-ishrat-o-azar hai duniya
Dube hue taron ka ye matam nahin karti
chaDhte hue suraj ki parastar hai duniya
Ghazal
Kis quwwat-e-be-dard ka izhaar hai duniya
Nazeer Siddiqui