اردو हिंदी
Kis qadar mujhko na-tawani hai | Shaahi Shayari
kis qadar mujhko na-tawani hai

Ghazal

Kis qadar mujhko na-tawani hai

Goya Faqir Mohammad

;

kis qadar mujh ko na-tawani hai
bar-e-sar se bhi sargirani hai

chashm-e-tar se jo KHun-fishani hai
nawak-e-ishq ki nishani hai

sare quran se us pari-ru ko
yaad ek lafz-e-lan-tarani hai

jab hua rutba-e-fana fillah
gham nahin gar jahan-e-fani hai

hai har ek sher yar ki taswir
fikr apni KHayal-e-mani hai

kyun na hon aashiq-e-lab-e-jaanan
chashma-e-ab-e-zindagani hai

us ki raftar ke likhe hain jo wasf
kya meri taba mein aati hai

naseha aashiqi mein rakh mazur
kya karun aalam jawani hai

kis se dun us sanam ko main tashbih
kab KHudai mein us ka sani hai

na meri zaKHm par rakho marham
mere qatil ki ye nishani hai

sar kaTaenge shama san KHamosh
gar yahi apni be-zabani hai

hum nahin shama hon jo ashk-fishan
kar-e-ushshaq jaan-fishani hai

munh ne ghar mein mere rakkha us ko
ye bhi taid-e-asmani hai

dil bhi us se uTha nahin sakte
na-tawani si na-tawani hai

qad-e-mauzun ke ishq mein 'goya'
raat din shughl-e-sher-KHwani hai