kis ne kaha tha shahr mein aa kar aankh laDao diwaron se
saya saya bhaTak bhaTak ab sar Takrao diwaron se
ghat ki palken jhapak rahe hain khul khul kar anjaan dariche
zaKHmon ke ab phul sameTo patthar khao diwaron se
qat-e-nazar ke baad bhi akasr baDh jati hai dil ki dhaDkan
aankh uThae kya banta hai dil hi uThao diwaron se
raston ki tahzib yahi hai daen baen chhoD ke chalna
sidhe hi ghar jaana hai to munh na lagao diwaron se
soch ghuTan mein Dub na jae toDo ye sankoch ke ghere
khuli hawa mein par phailao jaan bachao diwaron se
lams ki lazzat narmi saKHti donon ka gaDmaD rishta hai
pas hi aa kar tum samjhoge dur na jao diwaron se
ye bhi kaisi rit samay ki buniyaadon se mehrabon tak
KHun ke nate sab kuchh de kar kuchh bhi na pao diwaron se

Ghazal
Kis ne kaha tha shahr mein aa kar aankh laDao diwaron se
Ram Parkash Rahi