kis ke aangan se guzar kar ye hawa aati hai
siskiyan leti hui bu-e-hina aati hai
kya kami hai ki nigahon se gire jate ho
dil mein ghar karne ki tum ko to ada aati hai
dil ki baaten mujhe kahni nahin aatin lekin
yahi kya kam hai teri hamd-o-sana aati hai
kha rahi hai tan-e-bimar ko andar andar
kis masiha ki dukan se ye dawa aati hai
kis jagah ruk ke zara der ko dam le koi
kahin saya hai shajar ka na sar aati hai
ab bahar-gam baDhi jati hai taklif-e-safar
ab musafir ko bahut yaad-e-KHuda aati hai
muddaton sang musibat ki ragaD khata hai
tab kahin aaina-e-dil mein jila aati hai
ek hammam mein goya ki sabhi nange hain
sharm aati hai na duniya ko haya aati hai
ab to is kar-r-gah-e-shisha-gari mein 'mahir'
har-nafas taza chhanake ki sada aati hai

Ghazal
Kis ke aangan se guzar kar ye hawa aati hai
Mahir Abdul Hayee