kis kafir-e-be-mehar se dil apna laga hai
jis mein ki mohabbat na murawwat na wafa hai
be-kar kabhu raat ko bhi main nahin rahta
jun shama mujhe ta-ba-sahar mashq-e-fana hai
kya waza bayan kijiye us shoKH ki apne
laDne ko qayamat hai jhagaDne ko bala hai
kya qahr hai hum dekh ke KHush hote hain jis ko
so us ki ye surat hai ki surat se KHafa hai
jun jun nahin dekhe hai 'nisar' apne sanam ko
tun tun yahi kahta hai KHuda jaaniye kya hai
Ghazal
Kis kafir-e-be-mehar se dil apna laga hai
Mohammad Amaan Nisar