kis ka bhed kahan ki qismat pagle kis janjal mein hai
bazi hai ek sada-kaghaz sara kartab chaal mein hai
ek rahen ya do ho jaen ruswai har haal mein hai
jiwan rup ki sari shobha jiwan ke janjal mein hai
tujh se bichhaD kar tujh se mil kar donon mausam dekh liye
baat jahan thi ab bhi wahin hai farq zara sa haal mein hai
aaKHir upri hamdardi ko rang to ek din lana tha
baat thi pahle chand gharon tak ab duniya bhaunchaal mein hai
tum apni aankhon ki lali phulon mein taqsim karo
mere dil ka haal na puchho rahne do jis haal mein hai
jiwan bhedan ki chinta chhoDo aao kuchh is par baat karen
hum dharti ke phande mein hain dharti kis ke jal mein hai
'anjum' pyar jise kahte hain us ke Dhang nyare hain
chup mein hai sukh chain na koi rahat qil-o-qal mein hai
Ghazal
Kis ka bhed kahan ki qismat pagle kis janjal mein hai
Anjum Fauqi Badayuni