kis harf pe tu ne gosha-e-lab ai jaan-e-jahan ghammaz kiya
elan-e-junun dil walon ne ab ke ba-hazar-andaz kiya
sau paikan the paiwast-e-gulu jab chheDi shauq ki lai hum ne
so tir taraazu the dil mein jab hum ne raqs aaghaz kiya
be-hirs-o-hawa be-KHauf-o-KHatar is hath pe sar is kaf pe jigar
yun ku-e-sanam mein waqt-e-safar nazzara-e-baam-e-naz kiya
jis KHak mein mil kar KHak hue wo surma-e-chashm-e-KHalq bani
jis KHar pe hum ne KHun chhiDka ham-rang-e-gul-e-tannaz kiya
lo wasl ki saat aa pahunchi phir hukm-e-huzuri par hum ne
aankhon ke dariche band kiye aur sine ka dar baz kiya
Ghazal
Kis harf pe tu ne gosha-e-lab ai jaan-e-jahan ghammaz kiya
Faiz Ahmad Faiz