kis fikr kis KHayal mein khoya hua sa hai
dil aaj teri yaad ko bhula hua sa hai
gulshan mein is tarah se kab aai thi fasl-e-gul
har phul apni shaKH se TuTa hua sa hai
chal chal ke thak gaya hai ki manzil nahin koi
kyun waqt ek moD pe Thahra hua sa hai
kya hadisa hua hai jahan mein ki aaj phir
chehra har ek shaKHs ka utra hua sa hai
nazrana tere husn ko kya den ki apne pas
le de ke ek dil hai so TuTa hua sa hai
pahle the jo bhi aaj magar karobar-e-ishq
duniya ke karobar se milta hua sa hai
lagta hai us ki baaton se ye 'shahryar' bhi
yaron ke iltifat ka mara hua sa hai
Ghazal
Kis fikr kis KHayal mein khoya hua sa hai
Shahryar