kis buri saat se KHat le kar gaya
nama-bar ab tak na aaya mar gaya
jate hi dil us gali mein mar gaya
marne wala bewafai kar gaya
dil to jaane ko gaya lekin mujhe
us bhari mahfil mein ruswa kar gaya
hasraten thin jine wali ji gain
marne wala tha dil apna mar gaya
gham ki lazzat ibtida mein thi magar
is qadar khaya ki ab ji bhar gaya
har niwala us ka ab to talKH hai
umr nemat thi magar ji bhar gaya
kya kahun ahwal uThti bazm ka
pahle mina baad ko saghar gaya
dil ne ek din bhi na dekha tujh ko aah
us gali tak KHwab mein aksar gaya
marne wale dil tujhe ab kya kahun
KHair baKHsha main ne jo kuchh kar gaya
kya kahun in aansuon ka zor o shor
aankhen jhapki thin ki chullu bhar gaya
dil gila karta tha KHub us shoKH ka
tazkira mahshar ka sun kar Dar gaya
jis jagah dara ko bheja tha wahin
kuchh dinon ke baad askandar gaya
jis ka kahlata hai wan thi kya kami
ai gada kyun mangne dar-dar gaya
dil ne sabqat ki hawas o sabr par
pahle sultan baad ko lashkar gaya
munh se nikla tha ki pahuncha arsh par
nala-e-dil nam uncha kar gaya
dil ye umDa mai se KHali dekh kar
jam ashkon se labaalab bhar gaya
gir na jae KHak par qatra koi
bas bas ai saqi ki saghar bhar gaya
mai-kasho matam karo ab 'shad' ka
hae kya mai-KHwar rahlat kar gaya
'shad' kya kuchh kam hain do kam saTh sal
zindagi se bas dil apna bhar gaya
Ghazal
Kis buri saat se KHat le kar gaya
Shad Azimabadi