kisa-e-darwesh mein jo bhi hai zar utna hi hai
aur dekha jae to mujh ko KHatar utna hi hai
panw rakhne ke liye koi jagah to chahiye
shahr ke is bab mein mera guzar utna hi hai
main jahan pahuncha nahin aise bhi virane bata
dost apna rishta-e-diwar-o-dar utna hi hai
ek musht-e-KHak ye aur wo hawa-e-tund-o-tez
aur tera ehsan meri zat par utna hi hai
is gali se us gali tak dauDta rahta hun main
raat utni hi mayassar hai safar utna hi hai
Ghazal
Kisa-e-darwesh mein jo bhi hai zar utna hi hai
Atiiqullah