kidhar jaun kahin rasta nahin hai
kahan Dubun ki dil dariya nahin hai
idhar baadal kabhi barsa nahin hai
jahan tak shaKH hai patta nahin hai
use chhat par khaDe dekha tha main ne
ki jis ke ghar ka darwaza nahin hai
wahi hai ghonsla chimni ke pichhe
magar chiDiyon ka wo joDa nahin hai
badan ke loch tak aazad hai wo
use tahzib ne bandha nahin hai
tere honTon ko chhu dekhun to kahiyo
mere honTon mein kya aisa nahin hai
badan Dhanpe hue phirta hun yani
hawas ke nam par dhaga nahin hai
sabhi insan farishte ho gae hain
kisi diwar mein saya nahin hai
main is darja muazzaz ho gaya hun
wo mere samne hansta nahin hai
Ghazal
Kidhar jaun kahin rasta nahin hai
Bimal Krishn Ashk