KHwahishon ki maut ka yaro bhala chaha karo
phailti tarikiyon mein chand ka charcha karo
be-mahaba jam hi jaen dard ki jab mahfilen
apne gham ko shahr-e-baKHt-e-na-rasa samjha karo
lahlahati wadiyon se KHub-tar hain reg-zar
dil ke sahra mein gulistan ki faza paida karo
ranj ki gahraiyon ki tah ko pane ke liye
doston ki dushmani ko bhi ata jaana karo
aaqibat ki fikr na-danon ka hissa hi sahi
aaqibat ke tazkire par barmala roya karo
talKH-tar ho zindagi to lutf de shayad siwa
na-shanasaon ki KHatir aashna DhunDa karo
kya se kya shaklen dikhata hai fareb-e-agahi
dasht-e-imkan se koi zarra uTha laya karo
azmat-e-insan ke dukh mein ghul raha hai ahd-e-nau
is masiha ke liye mil kar dua manga karo
KHarch uThta hi nahin aur rang lata hai ghazab
be-gunah ke KHun se bhi qashqa zara khincha karo
KHak uDti hai ki raushan husn ka aanchal hua
chehra-e-giti ba-sad-bim-o-raja dekha karo

Ghazal
KHwahishon ki maut ka yaro bhala chaha karo
Qayyum Nazar